Blog banaane ke baad kya kare. Full Guide.(After Make a Blog in Hindi)

Kya aapne blog banaya hai agar nahi to aap ye post padhkar blog bna sakte hai >> Blogger par free me blog kaise banaaye. Agar aapne blog bna liya hai to aaj hum is post me batayenge ki blog banaane ke baad kya kare. Blog se achi earning ki ja sakti hai agar blog acha ho to. Chaliye ab jaante hai Blog banaane ke baad kya kare.
After make a blog

● Blog Template:- Blog ke liye ye bahut hi important hai. Kyoki ye blog ka base hota hai. Blog acha hona chahiye Jo readers  ko attract kare. Blog ki template aisee honi Chahiye Jo loading me jyada time nahi le yani template mobile friendly honi chahiye.
● Search Box:- Blog me search box hona bahut hi jaruri hai. Is se readers ko koi bhi post search karne me aasani ho jati hai.
● Comment Box:- Blog me comment box bhi hona jaruri hai. Agar readers blog author se koi question puchna chahte hai to puch sakte hai ya post me hui kuch galt ko suggest kar sakte hai.
● Important Pages:- Blog me kuch important page bhi hone jaruri hai. For example= Privacy policy, Disclaimer, About us, About author, Contact us etc. Ye aapke blog readers ko bataate hai ki blog me kya hai or aapke contact information. Ye page Blog traffic badhane me bhi kaam aate hai.
● Connect Social Pages:- ye bhi blog ko popular banaane ke liye important work hai. Is se blog ka traffic increase hoga. Isliye apne social pages ko blog se connect kare.
● Custom Domain:- agar aap .blogspot.com ko htana chahte hai to hta sakte hai. Isse aapka blog acha hoga or search me bhi jaldi aayega. AdSense bhi jaldi approve hoga.
Ye sab karne par blog badhiya ho jaayega or ab daily new post likhe  or earning ke liye blog ko taiyaar kare. Happy Blogging.