Blog ke liye disclaimer page kaise create kare or Kaise lagaye


Jab koi new blog reader aapke blog par aata hai to vo ye jaanna chahta hai ki aapka blog kis ke baare me hai or use is blog me kis parkaar ki help mil sakti hai. Kisi new reader ko ye sab provide karane ke liye hai disclaimer page banaya jata hai.
Agar aap AdSense ke liye apply karne waale hai to Disclaimer aapka account approve hone me help karta hai. Disclaimer readers ko blog samjane Ka kaam bhi karta hai. To Ab banaate hai blog ke liye disclaimer page.
Sabse pahle easyriver.com site par jaaye.



● Site Name= me apne blog name type kare.
● Company Name= isme bhi apne blog Ka name hi type kare.
● Country= India (aap jis country me rahte hai use select kare.)
Email Address= Isme apna vo address dale Jo public provide hai.
● Ab Make My Disclaimer par click kare.
Ab new page open hoga usme aapke blog ke liye disclaimer hoga use copy kar le.
Also Read:-
➡ Blogger par privacy policy page kaise banaye
➡ Blog ya website ko google or bing search engine se connect kaise kare


Ab apne blogger me pages par click karke new page banaye or publish kar de.