Blogger par Privacy Policy page kaise create kare


Privacy policy page kyo banate hai or iske kya faayede hai. Ye saval jarur honge aapke man me.
Ham anek sites par privacy policy page dekhte hai.
Aaj ham aapko is privacy policy page ke baare me batate hai.

Privacy policy page ke benefit ⬇⬇
● Privacy policy page se site traffic increase hota hai.

● Privacy policy page se reader's ko pta chalta hai ki hamara blog kis ke baare me hai.
● Search engine me jaldi show hota hai
● Hamara AdSense jaldi approved hota hai
● Reader's galt comments ya third party url use nhi karte hai. Agar ve privacy policy page ko padhte hai to.

Kaise banaye apne blog ya site ke liye privacy policy page.
Agar aap privacy policy apne aap likh sakte hai to ye step follow kare.

● Sabse pahle apne blogger ke dashboard me jaaye.


● New page par click kare.
Or ye words use kare.


Hamra blog kis ke baare me hai = isme aapko apne blog ki post kis ke baare me hai vo likhna hai. Aap reader's ko kya provide karvaate hai vo likhna hai.
Also Read:-
➡ Blog me disclaimer page kaise lagaye or kyo
➡ Blog ya website ko google or bing search engine se connect kasie kare

● Third party URL = aap kisi bhi parkaar Ka koi bhi link hamari permission ke bina hamari site me nhi daal sakte. Isme apko ye likhna hai.

● Agar aap kuch galt karte hai to hum kya kar sakte hai = Agar aap hamari permission ke bina kuch galt karte hai to hum apko hamari site se block kar sakte hai. Hum aapke comment ko delete,spam or block kar sakte hai. Iska hame pura adhikar hai. Isme aap aisa kuch likh sakte hai.

Aise aap apna khud Ka privacy policy page bna sakte hai. Aap is page ko or bhi bda chadakar likh sakte hai.
Iske baad is page ko update kar ke published kar de.


Agar Ab bhi page aapke blog me show nhi ho rha ho to dashboard ke layout me click kare. Ab page gadget select kare. 


Or agle page me pages ko select karke save kar de. Ab page show ho jaayega.