Paytm kya hai or ispar new account kaise create kare complete guide

Aaj hum paytm ke baare me puri jaankari denge. Paytm par account kaise banaaye or sath hi iske benefit or Paytm ke baare me bhi jaanege.
Kya Hai Paytm:- PayTm ek indian e-commerce company hai. Jise indian man Vijay Shekhar Sharma ne banaya hai. Ye kaffi popular company hai. Is company ki starting recharge or bill payment she hui thi. Lekin aaj Is company se online shopping kar sakte hai. Ya online payment bhi kar sakte hai. Or is company ke sath apna businesses bhi kar sakte hai is par apne products ko sell kar sakte hai. 
Is ki help se nice diye gaye sabhi work kar sakte hai:➡

●Ticket book   ●Mobile recharge       
●Electricity bill    ●DTH recharge    
●Broadband recharge
●Landline recharge  ●Gas payment
●Insurance Payment
●Petrol payment
●Money transfer in Bank
●Money Accept
●Big Institute Payment
●Sell Your Product



Paytm use karne ke benefit:- Pahli baat to ye aap kisi bhi parkar ki online payment kar sakte hai ya recharge kar sakte hai. Or PayTm use karne se time bhi save hota hai aap jaldi hi recharge ya payment kar sakte hai. Cash sath me rakhne ki jarurat nahi hoti. Recharge karvane ke liye kisi par depend nahi rehna padta. Kisi dusre ka recharge karke aap recharge karvane waale se kuch extra money le sakte ho. Agar Aapko kuch online kisi dusri site se kuch kharidna hai to is se payment kar sakte hai. Ya kisi site se payment receive bhi kar sakte ho. Agar kisi aap paise le rahe ho to sidhe hi apne bank account me le sakte ho. Kisi badi university ya institute ki payment bhi kar sakte ho. Cinema hall ki bhi ticket book kar sakte ho. Flight or Hotels bhi book kar sakte hai. Aap is se 20000 per month tak ki Len den kar sakte hai.


Kaise banaye PayTm par account:- 
Sabse pahle Paytm/Login is site par jaaye or Sign Up to Paytm par click kare.
Ab apna Mobile Number, koi bhi new Email id yani username or new password daale.
I am at least 18 years of age par tick kare iske baad continue par click kar de. Aapka Paytm account create ho jaayega. Ab PayTm se online payment kar sakte hai.
Paytm account banaane ka method

Online payment karne ke liye Paytm account me money honi chahiye. Aapne new account create kiya hai to Isme money nahi hogi. Isliye add money par click kare. Iske baad aap jitna money add karna chahte hai vo daale or add money par click kare. Ab aap apna payment method select kare or uski sahi information daale Aapke PayTm account me money add ho jaayegi.
Agar aapko ye article acha laga ho to share jarur kare.